Agarche Aaina-e-dil Mein Hai Qayam Us Ka

agarche aaina-e-dil mein hai qayam us ka

na koi shakl hai us ki na koi nam us ka

wahi KHuda kabhi milwaega hamein us se

jo intizar karaata hai subh o sham us ka

hamare sath nahin ja saka tha wo lekin

raha KHayal siyahat mein gam gam us ka

KHuda ko pyar hai apne har ek bande se

safed-fam hai us ka siyah-fam us ka

kama ke dete hain jo mal wo amiron ko

hisab kyun nahin lete kabhi awam us ka

hamara farz hai be-lag rae ka izhaar

koi durust kahe ya ghalat ye kaam us ka

kahan hai shaiKH ko sudh-budh mazid pine ki

nasha utar gae tin chaar jam us ka

zaban-e-dil se koi shairi sunata hai

to samain bhulate nahin kalam us ka

'shuur' sab se alag baiThta hai mahfil mein

isi se aap samajh lijiye maqam us ka

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Aaina-e-dil Mein Hai Qayam Us Ka In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Agarche Aaina-e-dil Mein Hai Qayam Us Ka is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Agarche Aaina-e-dil Mein Hai Qayam Us Ka for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Agarche Aaina-e-dil Mein Hai Qayam Us Ka in PDF.