Aise Dekha Hai Ki Dekha Hi Na Ho

aise dekha hai ki dekha hi na ho

jaise mujh ko teri parwa hi na ho

baz ghar shahr mein aise dekhe

jaise un mein koi rahta hi na ho

mujh se katra ke bhala kyun jata

shayad us ne mujhe dekha hi na ho

ye samajhta hai har aane wala

main na aaun to tamasha hi na ho

yun bhaTakne pe hun qane jaise

raston mein koi dariya hi na ho

raat har chap pe aata tha KHayal

uTh ke dekhun koi aaya hi na ho

kaise chhoDun dar-o-diwar apne

kya KHabar lauT ke aana hi na ho

hain sabhi ghair to apna maskan

shahr kyun ho koi sahra hi na ho

yun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur'

kya kahun jab koi sunta hi na ho

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Dekha Hai Ki Dekha Hi Na Ho In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Aise Dekha Hai Ki Dekha Hi Na Ho is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Aise Dekha Hai Ki Dekha Hi Na Ho for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Aise Dekha Hai Ki Dekha Hi Na Ho in PDF.