Aur Na Dar-ba-dar Phira Aur Na Aazma Mujhe

aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe

bas mere parda-dar bas! ab nahin hausla mujhe

saKHt nazar-fareb hai aaina-KHana-e-jamal

us ki chamak-damak na dekh, dekh bujha bujha mujhe

habs-e-hujum-e-KHalq se ghuT ke alag hua to main

qatra ba-sath-e-bahar tha chaT gai hawa mujhe

sabr karo muhasibo waqt tumhein bataega

dahr ko main ne kya diya dahr se kya mila mujhe

sirf usi ke samne KHwar kiya tha aas ne

yas ne fard fard par aaina kar diya mujhe

tere hi misr ka malal tere hi najd ka KHayal

shahr-ba-shahr ku-ba-ku gam-ba-gam tha mujhe

kar-gah-e-baqa mujhe zat-o-hayat-o-kaenat

zat-o-hayat-o-kaenat daera-e-fana mujhe

zat-o-hayat-o-kaenat be-sar-o-pa o be-sabaat

be-sar-o-pa o be-sabaat shai se umid kya mujhe

raat lughat-e-umr se main ne chuna tha ek lafz

lafz bahut ajib tha yaad nahin raha mujhe

tha guzaran guzar gaya waqt-e-visal aur bas

KHak bhi chhanta phira phir na kabhi mila mujhe

main ne hansi-KHushi use jaane diya tha han magar

ye to muahida na tha muD ke na dekhna mujhe

sham us aadmi ki yaad aai jo ek umr baad

jaaniye kis azab mein kar gai mubtala mujhe

main ne use shikast di sina-ba-sina lab-ba-lab

sina-ba-sina lab-ba-lab us ne hara diya mujhe

jo na suna tha dahr se us ki zaban se sun liya

ab mujhe koi kuchh kahe fikr nahin zara mujhe

hain teri mehrbaniyan bhuli hui kahaniyan

bhuli hui kahaniyan yaad na ab dila mujhe

fan ko samajh liya gaya mahz atiyya-e-falak

sai-o-riyaz ka sila KHub diya gaya mujhe

mahram-e-KHas dekhna so to nahin gaya 'shuur'

der hui sune hue koi nai sada mujhe

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Na Dar-ba-dar Phira Aur Na Aazma Mujhe In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Aur Na Dar-ba-dar Phira Aur Na Aazma Mujhe is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Aur Na Dar-ba-dar Phira Aur Na Aazma Mujhe for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Aur Na Dar-ba-dar Phira Aur Na Aazma Mujhe in PDF.