Bashaarat Ho Ki Ab Mujh Sa Koi Pagal Na Aaega

bashaarat ho ki ab mujh sa koi pagal na aaega

ye daur-e-aKHir-e-diwangi hai bit jaega

kisi ki zindagi zaea na hogi ab mohabbat mein

koi dhoka na dega ab koi dhoka na khaega

na ab utrega qudsi koi insanon ki basti par

na ab jangal mein charwaha koi bheDen charaega

giroh-e-ibn-e-adam lakh bhaTke lakh sar paTke

ab is andar se koi rasta bahar na jaega

bashar ko dekh kar be-intiha afsos aata hai

na malum is KHarabaati ko kis din hosh aaega

miTa bhi de mujhe ab ai musawwir! ta-ba-kai aaKHir

banega bigaDega bigaDega banega

mohabbat bhi kahin ai dost! tardidon se chhupti hai

kise qael karega tu kise bawar karaega

ghanimat jaan agar do bol bhi kanon mein paD jaen

ki phir ye bolne wala na roega na gaega

'shuur' aaKHir use hum se ziyaada jaante ho tum?

bahut sidha sahi lekin tumhein to bech khaega

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bashaarat Ho Ki Ab Mujh Sa Koi Pagal Na Aaega In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Bashaarat Ho Ki Ab Mujh Sa Koi Pagal Na Aaega is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Bashaarat Ho Ki Ab Mujh Sa Koi Pagal Na Aaega for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Bashaarat Ho Ki Ab Mujh Sa Koi Pagal Na Aaega in PDF.