Hawas Bala Ki Mohabbat Hamein Bala Ki Hai

hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai

kabhi buton ki KHushamad kabhi KHuda ki hai

kisi ko chahne wale yahi to karte hain

baDa kamal kiya hai agar wafa ki hai

guzar basar hai hamari faqat qanaat par

nasib ne yahi daulat hamein ata ki hai

tamam raat paDi thi guzarne ke liye

chunanche KHatm surahi zara zara ki hai

sharab se koi raghbat nahin hai muhtasibo

hakim ne hamein tajwiz ye dawa ki hai

zara si der ko aae the shaiKH idhar lekin

yahin janab ne maghrib yahin isha ki hai

tumhaara chehra-e-pur-nur dekhta hun to

yaqin hi nahin aata ki jism KHaki hai

mujhe aziz na ho kyun rijaiyat apni

ye gham-sharik mere daur-e-ibtila ki hai

'shuur' KHud ko zahin aadmi samajhte hain

ye sadgi hai to wallah intiha ki hai

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawas Bala Ki Mohabbat Hamein Bala Ki Hai In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Hawas Bala Ki Mohabbat Hamein Bala Ki Hai is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Hawas Bala Ki Mohabbat Hamein Bala Ki Hai for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Hawas Bala Ki Mohabbat Hamein Bala Ki Hai in PDF.