Ittifaq Apni Jagah KHush-qismati Apni Jagah

ittifaq apni jagah KHush-qismati apni jagah

KHud banata hai jahan mein aadmi apni jagah

kah to sakta hun magar majbur kar sakta nahin

iKHtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah

kuchh na kuchh sachchai hoti hai nihan har baat mein

kahne wale Thik kahte hain sabhi apni jagah

sirf us ke honT kaghaz par bana deta hun main

KHud bana leti hai honTon par hansi apni jagah

dost kahta hun tumhein shaer nahin kahta 'shuur'

dosti apni jagah hai shaeri apni jagah

(2005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ittifaq Apni Jagah KHush-qismati Apni Jagah In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Ittifaq Apni Jagah KHush-qismati Apni Jagah is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Ittifaq Apni Jagah KHush-qismati Apni Jagah for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Ittifaq Apni Jagah KHush-qismati Apni Jagah in PDF.