IsMein Kya Shak Hai Ki Aawara Hun Main

is mein kya shak hai ki aawara hun main

kuche kuche mein phira karta hun main

mujh se sarzad hote rahte hain gunah

aadmi hun kyun kahun achchha hun main

saf-o-shaffaf aasman ko dekh kar

gandi gandi galiyan bakta hun main

qahwa-KHanon mein basar karta hun din

qahba-KHanon mein sahar karta hun main

din guzarta hai mera ahbab mein

raat ko footpath par sota hun main

biT kar jati hai chiDiya TanT par

azmat-e-adam ka aaina hun main

kanch si guDiyon ke narm aasab par

surat-e-sang-e-hawas paDta hun main

nazukon ke naz uThane ke bajae

nazukon se naz uThwata hun main

dusron ko kya pata apna bataun

ab to KHud apne liye anqa hun main

mujh se puchhe hurmat-e-kaba koi

masjidon mein choriyan karta hun main

mujh se likhwae koi hijw-e-sharab

mai-kadon mein qarz ki pita hun main

main chhupata hun barahna KHwahishen

wo samajhti hai ki sharmila hun main

kis qadar bad-namiyan hain mere sath

kya bataun kis qadar tanha hun main

KHwab-awar goliyon se ai 'shuur'

KHud-kushi ki koshishen karta hun main

(1524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

IsMein Kya Shak Hai Ki Aawara Hun Main In English By Famous Poet Anwar Shuoor. IsMein Kya Shak Hai Ki Aawara Hun Main is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem IsMein Kya Shak Hai Ki Aawara Hun Main for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download IsMein Kya Shak Hai Ki Aawara Hun Main in PDF.