Meri Hayat Hai Bas Raat Ke Andhere Tak

meri hayat hai bas raat ke andhere tak

mujhe hawa se bachae rakho sawere tak

dukan-e-dil mein nawadir saje hue hain magar

ye wo jagah hai ki aate nahin luTere tak

mujhe qubul hain ye gardishen tah-e-dil se

rahen jo sirf tere bazuon ke ghere tak

saDak pe soe hue aadmi ko sone do

wo KHwab mein to pahunch jaega basere tak

chamak-damak mein dikhai nahin diye aansu

agarche main ne ye nag rah mein bikhere tak

kahan hain ab wo musafir-nawaz bahutere

uTha ke le gae KHana-ba-dosh Dere tak

thaka hua hun magar is qadar nahin ki 'shuur'

laga sakun na ab us ki gali ke phere tak

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Hayat Hai Bas Raat Ke Andhere Tak In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Meri Hayat Hai Bas Raat Ke Andhere Tak is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Meri Hayat Hai Bas Raat Ke Andhere Tak for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Meri Hayat Hai Bas Raat Ke Andhere Tak in PDF.