Mujhe Ye Justuju Kyun Ho Ki Kya Hun Aur Kiya Tha Main

mujhe ye justuju kyun ho ki kya hun aur kiya tha main

koi apne siwa hun main koi apne siwa tha main

na jaane kaun sa aatish-fishan tha mere sine mein

ki KHali tha bahut phir bhi dhamak kar phaT paDa tha main

to kya main ne nashe mein waqai ye guftugu ki thi

mujhe KHud bhi nahin malum tha jo sochta tha main

KHud apne KHol mein ghuT kar na rah jata to kya karta

yahan ek bhiD thi jis bhiD mein gum ho gaya tha main

na luTna meri qismat hi mein tha likkha hua warna

andheri raat thi aur bich raste mein khaDa tha main

guzarne ko to mujh par bhi ajab ek hadisa guzra

magar us waqt jab sadmon ka aadi ho chuka tha main

main kahta tha suno sachchai to KHud hai sila apna

ye nukta iktisabi tha magar sach bolta tha main

tujhe to dusron se bhi ulajhne mein takalluf tha

mujhe to dekh apne-ap se uljha hua tha main

KHulus o iltifat o mehr jo hai ab usi se hai

jise pahle na jaane kis nazar se dekhta tha main

jo ab yun mere girda-gird hain kuchh roz pahle tak

unhi logon ke haq mein kis qadar sabr-azma tha main

bahut KHush-KHulq tha main bhi magar ye baat jab ki hai

na auron hi se waqif tha na KHud ko jaanta tha main

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Ye Justuju Kyun Ho Ki Kya Hun Aur Kiya Tha Main In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Mujhe Ye Justuju Kyun Ho Ki Kya Hun Aur Kiya Tha Main is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Mujhe Ye Justuju Kyun Ho Ki Kya Hun Aur Kiya Tha Main for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Mujhe Ye Justuju Kyun Ho Ki Kya Hun Aur Kiya Tha Main in PDF.