Mushtaq Ba-dastur Zamana Hai Tumhaara

mushtaq ba-dastur zamana hai tumhaara

aane se baDa khel na aana hai tumhaara

laila ki hikayat bhi hikayat hai tumhaari

shirin ka fasana bhi fasana hai tumhaara

is dil ki KHabar tum se ziyaada kise hogi

bartaw magar be-KHabarana hai tumhaara

tum husn-e-mujassam ho bila shirkat-e-ghaire

na-qabil-e-taqsim KHazana hai tumhaara

dil mein koi aa jae to wapas nahin jata

dushwar yahan se kahin jaana hai tumhaara

tum se mutaassir hain nae hon ki purane

uslub naya hai ki purana hai tumhaara

kyun raushni-o-rang se mamur na ho dil

sunsan sahi aaina-KHana hai tumhaara

samjhaya bujhaya na karo dil ko 'shuur' ab

kam-baKHt ne kahna kabhi mana hai tumhaara

(1157) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mushtaq Ba-dastur Zamana Hai Tumhaara In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Mushtaq Ba-dastur Zamana Hai Tumhaara is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Mushtaq Ba-dastur Zamana Hai Tumhaara for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Mushtaq Ba-dastur Zamana Hai Tumhaara in PDF.