Us Bazm Mein Kya Koi Sune Rae Hamari

us bazm mein kya koi sune rae hamari

ye baat ye auqat kahan hae hamari

hum chahte kya hain nahin malum kisi ko

kis tarah tabiat koi bahlae hamari

guzri hai jawani baDi be-rah-rawi mein

ai kash zaifi bhi guzar jae hamari

is shahr mein rahna hai bayaban mein rahna

surat nahin pahchante ham-sae hamari

ye ghar ye gali zehn mein kar lijiye mahfuz

mumkin hai kabhi aap ko yaad aae hamari

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Bazm Mein Kya Koi Sune Rae Hamari In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Us Bazm Mein Kya Koi Sune Rae Hamari is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Us Bazm Mein Kya Koi Sune Rae Hamari for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Us Bazm Mein Kya Koi Sune Rae Hamari in PDF.