Unki Surat Hamein Aai Thi Pasand Aankhon Se

un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se

aur phir ho gai baala-o-buland aankhon se

koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut

hum ne is chand pe Dali hai kamand aankhon se

Thahr sakti hai kahan us ruKH-e-taban pe nazar

dekh sakta hai use aadmi band aankhon se

hum uThate hain maza talKHi o shirini ka

mai piyale se pilata hai wo qand aankhon se

baat karte ho to hota hai zaban se sadma

dekhte ho to pahunchta hai gazand aankhon se

har mulaqat mein hoti hain hamare mabain

chand baaten lab-e-guftar se chand aankhon se

ishq mein hausla-mandi bhi zaruri hai 'shuur'

dekhiye us ki taraf hausla-mand aankhon se

(1006) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unki Surat Hamein Aai Thi Pasand Aankhon Se In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Unki Surat Hamein Aai Thi Pasand Aankhon Se is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Unki Surat Hamein Aai Thi Pasand Aankhon Se for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Unki Surat Hamein Aai Thi Pasand Aankhon Se in PDF.