Ye KHud Ko Dekhte Rahne Ki Hai Jo KHu Mujh Mein

ye KHud ko dekhte rahne ki hai jo KHu mujh mein

chhupa hua hai kahin wo shagufta-ru mujh mein

mah o nujum ko teri jabin se nisbat dun

ab is qadar bhi nahin aadat-e-ghulu mujh mein

taghayyuraat-e-jahan dil pe kya asar karte

hai teri ab bhi wahi shakl hu-ba-hu mujh mein

rafugaron ne ajab taba-azmai ki

rahi sire se na gunjaish-e-rafu mujh mein

wo jis ke samne meri zaban nahin khulti

usi ke sath to hoti hai guftugu mujh mein

KHuda kare ki use dil ka rasta mil jae

bhaTak rahi hai koi chap ku-ba-ku mujh mein

us ek zohra-jabin ke tufail jari hai

tamam zohra-jabinon ki justuju mujh mein

nahin pasand mujhe sher-o-shaeri karna

kabhi-kabhaar bas uThti hai ek hu mujh mein

main zindagi hun mujhe is qadar na chah 'shuur'

musafirana iqamat-guzin hai tu mujh mein

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye KHud Ko Dekhte Rahne Ki Hai Jo KHu Mujh Mein In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Ye KHud Ko Dekhte Rahne Ki Hai Jo KHu Mujh Mein is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Ye KHud Ko Dekhte Rahne Ki Hai Jo KHu Mujh Mein for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Ye KHud Ko Dekhte Rahne Ki Hai Jo KHu Mujh Mein in PDF.