Yaadon Ke Bagh Se Wo Hara-pan Nahin Gaya

yaadon ke bagh se wo hara-pan nahin gaya

sawan ke din chale gae sawan nahin gaya

Thahra tha ittifaq se wo dil mein ek bar

phir chhoD kar kabhi ye nasheman nahin gaya

har gul mein dekhta ruKH-e-laila wo aankh se

afsos qais dasht se gulshan nahin gaya

rakkha nahin musawwir-e-fitrat ne mu-qalam

shah-para ban raha hai abhi ban nahin gaya

main ne KHushi se ki hai ye tanhai iKHtiyar

mujh par laga ke wo koi qadghan nahin gaya

tha wada sham ka magar aae wo raat ko

main bhi kiwaD kholne fauran nahin gaya

dushman ko main ne pyar se raazi kiya 'shuur'

us ke muqable ke liye tan nahin gaya

(2014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ke Bagh Se Wo Hara-pan Nahin Gaya In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Yaadon Ke Bagh Se Wo Hara-pan Nahin Gaya is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Yaadon Ke Bagh Se Wo Hara-pan Nahin Gaya for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Yaadon Ke Bagh Se Wo Hara-pan Nahin Gaya in PDF.