Meri Nazar Ke Liye Koi Riwayat Na Thi

meri nazar ke liye koi riwayat na thi

sab ki tarah dekhna jabr tha aadat na thi

aisa laga jaise main manzar-e-manus tha

us ki nigahon mein kal shoKHi-e-hairat na thi

mere shab o roz the meri sadi ki tarah

kaun sa lamha tha wo jis mein qayamat na thi

pairahan-e-jism-o-jaan zaKHm-e-sitam tha tamam

kaisa sitam-gar tha wo koi jarahat na thi

kab kisi diwar se sail-e-tamanna ruka

garm lahu ki kabhi koi shariat na thi

kitne subuk-dil hue tujh se bichhaDne ke baad

un se bhi milna paDa jin se mohabbat na thi

(669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nazar Ke Liye Koi Riwayat Na Thi In English By Famous Poet Anwar Siddiqui. Meri Nazar Ke Liye Koi Riwayat Na Thi is written by Anwar Siddiqui. Read famous Poem Meri Nazar Ke Liye Koi Riwayat Na Thi for youth and Student by Anwar Siddiqui. Free Download Meri Nazar Ke Liye Koi Riwayat Na Thi in PDF.