Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa

kya shahr mein hai garmi-e-bazar ke siwa

sab ajnabi hain ek dil-e-zar ke siwa

is dasht-e-be-KHudi mein ki duniya kahen jise

ghafil sabhi hain ek nigah-e-yar ke siwa

chehron ke chand rakh hue baam bujh gae

kuchh bhi bacha na hasrat-e-didar ke siwa

aalam tamam tirgi-e-dard-e-muzmahil

han ek farogh-e-shola-e-ruKHsar ke siwa

sari shafaq sameT ke suraj chala gaya

ab kya raha hai mauj-e-shab-e-tar ke siwa

jis samt dekhiye hai salibon ki ek qatar

koi ufuq nahin ufuq-e-dar ke siwa

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa In English By Famous Poet Anwar Siddiqui. Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa is written by Anwar Siddiqui. Read famous Poem Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa for youth and Student by Anwar Siddiqui. Free Download Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa in PDF.