Bhulne Wale Tujhe Yaad Kiya Hai Barson

bhulne wale tujhe yaad kiya hai barson

dil-e-viran ko yun aabaad kiya hai barson

sath jo de na saka rah-e-wafa mein apna

be-irada bhi use yaad kiya hai barson

gham jahan mein wo rafiq-e-abadi hai apna

jis ne har haal mein dil shad kiya hai barson

bhul sakta hun bhala gardish-e-dauran tujh ko

rose tu ne sitam ijad kiya hai barson

kab giraftar-e-KHam-e-gham-e-hijran na raha

kab tere dard ne aazar kiya hai barson

ab bhi 'anwar' pashemani-e-KHatir ho na kyun

umr-e-rafta tujhe barbaad kiya hai barson

(631) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhulne Wale Tujhe Yaad Kiya Hai Barson In English By Famous Poet Anwarul Hasan Anwar. Bhulne Wale Tujhe Yaad Kiya Hai Barson is written by Anwarul Hasan Anwar. Read famous Poem Bhulne Wale Tujhe Yaad Kiya Hai Barson for youth and Student by Anwarul Hasan Anwar. Free Download Bhulne Wale Tujhe Yaad Kiya Hai Barson in PDF.