Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein

sukun-e-dil na mayassar hua zamane mein

na yaad rakhne mein tum ko na bhul jaane mein

hamesha wusat-e-aflak mein raha hai gham

kahan qayam hai shahin ka aashiyane mein

uruj-e-tirgi-e-shab se ho sahar paida

yahi nizam hai duniya ke kar-KHane mein

shafaq ke KHun ki surKHi bhi ho gai shamil

sahar-ba-dosh sitaron ke jhilmilane mein

abhi bahaar ka kuchh aur intizar karo

ki thoDi der hai kaliyon ke muskurane mein

ye wo mata-e-giran hai jo mil nahin sakti

sukun-e-dil ki tamanna na kar zamane mein

kabhi qarar dil-e-be-qarar ko bhi mile

ilahi kaun kami hai tere KHazane mein

kisi se kuchh bhi shikayat karun to kya hasil

mila na koi wafa-ashna zamane mein

gulon ki bazm hi ranginiyan ba-dosh nahin

har ek naqsh hasin hai nigar-KHane mein

mein raundta hua kanTon ko yun guzarta hun

ki rah-rawon ko suhulat ho aane jaane mein

wo ek tum ho ki tum ko kisi ne kuchh na kaha

wo ek hum hain ki ruswa hue zamane mein

tere KHayal se aati nahin jo lab pe mere

wahi to kaam ki ek baat thi fasane mein

wo iztirab-e-musalsal ka lutf kya jaane

musibaton se jo ghabra gaya zamane mein

kuchh andalib ka KHun jigar bhi hai shamil

gulon ki bazm ki ranginiyan baDhane mein

hamin to lazzat-e-azar ke nahin KHugar

unhen bhi lutf sa aata hai kuchh satane mein

qusur un ki nigahon ki shoKHiyon ka bhi hai

hamari jurat-e-shauq-o-talab baDhane mein

rahega muddaton charcha mera zabanon par

kisi ki bazm se 'anwar' uTh ke jaane mein

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein In English By Famous Poet Anwarul Hasan Anwar. Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein is written by Anwarul Hasan Anwar. Read famous Poem Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein for youth and Student by Anwarul Hasan Anwar. Free Download Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein in PDF.