Phaili Hai Dhup Jazba-e-isfar Dekh Kar

phaili hai dhup jazba-e-isfar dekh kar

hargiz Thahar na saya-e-ashjar dekh kar

chal aa wahin chalen ki jahan shor-o-shar na ho

tang aa gaya hun garmi-e-bazar dekh kar

afwah wo uDi thi ki main kal bahut hansa

rota hun aaj subh ka aKHbar dekh kar

aisa na ho ki qaum ka beDa hi gharq ho

taqrir jhaD qaum ke meamar dekh kar

'jamid' mera wajud hai malba bana hua

ek KHauf sar uThata hai diwar dekh kar

(681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phaili Hai Dhup Jazba-e-isfar Dekh Kar In English By Famous Poet Aqeel Jamid. Phaili Hai Dhup Jazba-e-isfar Dekh Kar is written by Aqeel Jamid. Read famous Poem Phaili Hai Dhup Jazba-e-isfar Dekh Kar for youth and Student by Aqeel Jamid. Free Download Phaili Hai Dhup Jazba-e-isfar Dekh Kar in PDF.