Asar Meri Zaban Mein Nahin Raha

asar meri zaban mein nahin raha

wo tir ab kaman mein nahin raha

hai pattharon ka qarz us ke dosh par

jo kanch ke makan mein nahin raha

alaw sard ho gae hayat ke

rachao dastan mein nahin raha

tha jis pe meri zindagi ka inhisar

usi ka nam dhyan mein nahin raha

guman hi asasa tha yaqin ka

yaqin hi guman mein nahin raha

hua jo sahl us ke ghar ka rasta

maza hi kuchh takan mein nahin raha

na ki kabhi bhi fikr main ne sud ki

kabhi bhi main ziyan mein nahin raha

wo kho gaya ghubar-e-gard-e-rah mein

jo shaKHs imtihan mein nahin raha

KHamoshiyon ne bhar diya KHalaon ko

suKHan wo darmiyan mein nahin raha

taDap uThe jise KHaridne ko dil

wo mal hi dukan mein nahin raha

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asar Meri Zaban Mein Nahin Raha In English By Famous Poet Aqeel Shadab. Asar Meri Zaban Mein Nahin Raha is written by Aqeel Shadab. Read famous Poem Asar Meri Zaban Mein Nahin Raha for youth and Student by Aqeel Shadab. Free Download Asar Meri Zaban Mein Nahin Raha in PDF.