Barae-nam Sahi Koi Mehrban To Hai

barae-nam sahi koi mehrban to hai

hamare sar pe bhi hone ko aasman to hai

teri faraKH-dili ko duaen deta hun

mere labon pe tere lams ka nishan to hai

ye aur baat ki wo ab yahan nahin rahta

magar ye us ka basaya hua makan to hai

siron pe saya-fagan abr-e-arzu na sahi

hamare pas sarabon ka saeban to hai

alawa us ke na kuchh aur parda rakh mujh se

fasil-e-jism mere tere darmiyan to hai

bichhaD ke zinda nahin rah sakenge hum donon

mujhe ye wahm to hai un ko ye guman to hai

bhali-buri sahi maujon mein apni naw to hai

kaTa-phaTa sahi kahne ko baadban to hai

gul-e-murad nahin sang-ha-e-tifl sahi

gharib-e-shahr ka aaKHir kisi ko dhyan to hai

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barae-nam Sahi Koi Mehrban To Hai In English By Famous Poet Aqeel Shadab. Barae-nam Sahi Koi Mehrban To Hai is written by Aqeel Shadab. Read famous Poem Barae-nam Sahi Koi Mehrban To Hai for youth and Student by Aqeel Shadab. Free Download Barae-nam Sahi Koi Mehrban To Hai in PDF.