Gul-dan
sal-ha-sal bayaban-e-guman ko sincha
KHun-e-idrak se aab-e-jaan se
tab kahin us mein huwaida hue afkar ke phul
phul jin ko mere beTe teri farhat ke liye
shisha-e-ruh ke gul-dan mein saja laya hun
aur chupke se ye gul-dan main ne
rakh diya hai teri paDhne ki nai mez pe yun
jaise is mez ki takmil thi us ki muhtaj
aur samajhta hun ki in phulon ki nadida hasin KHushbu se
tere kamre ki har ek chiz mahak uTThi hai
kaun jaane ki meri soch mere zoam ki gul-kari ho
fikr ki shoabada-bazi ho tasawwur ki talabgari ho
aur tu siTi bajata hua kamre mein ho daKHil to tujhe
ajnabi bas ka karb
yak-ba-yak sans ke rukne ki aziyyat se ham-aghosh kare
aur jhunjhla ke tu gul-dan ko dariche se pare
phenk de jada-e-sangin ki taraf
pas-e-diwar khaDa
main sunun TuTte gul-dan ki sada
aur mere kanpte honTon se uThe
tere ehsas ki barnai ke be-Tok panapne ki dua
(1501) Peoples Rate This