Zamin Se Ta-ba-falak Koi Fasla Bhi Nahin

zamin se ta-ba-falak koi fasla bhi nahin

magar ufuq ki taraf koi dekhta bhi nahin

suna hai sabz rawa oDh li chaman ne magar

hawa ke zor se barg-e-KHizan gira bhi nahin

bahut basit hai dasht-e-jafa ki tanhai

qarib-o-dur koi aahu-e-wafa bhi nahin

mujhe to ahd ka aashob kar gaya patthar

main dard-mand kahan dard-ashna bhi nahin

kabhi KHayal ke rishton ko bhi TaTol ke dekh

main tujh se dur sahi tujh se kuchh juda bhi nahin

qadam qadam pe shikaston ka samna hai magar

ye dil wo shisha-e-jaan hai ki TuTta bhi nahin

mere wajud mein barpa hai us KHayal se hashr

jo mere zehn mein paida abhi hua bhi nahin

main jis ke sehr se koh-e-nida tak aa pahuncha

wo harf abhi mere lab se ada hua bhi nahin

main ek gumbad-e-be-dar mein qaid hun 'arif'

meri nawa ka safar warna be-dara bhi nahin

(2346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se Ta-ba-falak Koi Fasla Bhi Nahin In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Zamin Se Ta-ba-falak Koi Fasla Bhi Nahin is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Zamin Se Ta-ba-falak Koi Fasla Bhi Nahin for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Zamin Se Ta-ba-falak Koi Fasla Bhi Nahin in PDF.