Aarif Azal Se Tera Amal Mominana Tha

'arif' azal se tera amal mominana tha

han gham ye tha ki fikr ka Dhab kafirana tha

tu mujh se dur rah ke bhi mere qarib tha

har chand tu KHuda ki tarah tha KHuda na tha

tanhai-e-basit ka wo ahd yaad kar

jab tere pas koi bhi tere siwa na tha

tha e'timad-e-husn se tu is qadar tahi

aaina dekhne ka tujhe hausla na tha

main ne kiya hai tujh ko tere ru-ba-ru magar

khinch jaega mujhi se tu mujh ko pata na tha

baKHsha hai tu ne meri wafa ko KHud apna rang

warna meri nigah mein koi sila na tha

umr-e-aziz ra-nawardi mein kaT gai

manzil ne di KHabar ki musafir chala na tha

aai hai gulsitan se meri samt kis liye

jab nama mere nam koi ai saba na tha

kunj-e-qafas mein sar-ba-gareban paDa hun main

'arif' chaman mein koi mera ham-nawa na tha

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarif Azal Se Tera Amal Mominana Tha In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Aarif Azal Se Tera Amal Mominana Tha is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Aarif Azal Se Tera Amal Mominana Tha for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Aarif Azal Se Tera Amal Mominana Tha in PDF.