Baja Ki Kashti Hai Para Para ThapeDe Tufan Ke Kha Raha Hun

baja ki kashti hai para para thapeDe tufan ke kha raha hun

magar ye eazaz kam nahin hai ki aap hi apna naKHuda hun

kabhi to main ne dhunak diye hain pahaD bhi apne raste ke

kabhi main KHud apne raste ki muhib diwaren ho gaya hun

mujhe hai shab-KHun ki fikr lekin unhen halakat ka Dar nahin hai

mere qabile ke log sote hain aur shab-bhar main jagta hun

meri haqiqat tazad ki is girah ke khulne pe munhasir hai

main waqt ka hun jalil KHusraw main ahd ka be-nawa gada hun

ye baat alag hai ki ghuncha ghuncha mere chalan se chaTak raha hai

saba ka jhonka hun gulistan se main be-sada sa guzar raha hun

jahan ka shewa sitam tha lekin mujhe wafa se rahi hai nisbat

jahan ghalat tha ki main ghalat tha ye baat rah rah ke sochta hun

meri jabin ka chamakta suraj mere jilau mein sada raha hai

main raat ki zulmaton ko 'arif' azal se lalkarta raha hun

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baja Ki Kashti Hai Para Para ThapeDe Tufan Ke Kha Raha Hun In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Baja Ki Kashti Hai Para Para ThapeDe Tufan Ke Kha Raha Hun is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Baja Ki Kashti Hai Para Para ThapeDe Tufan Ke Kha Raha Hun for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Baja Ki Kashti Hai Para Para ThapeDe Tufan Ke Kha Raha Hun in PDF.