Chand Mere Ghar Mein Utra Tha Kahin Duba Na Tha

chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha

ai mere suraj abhi aana tera achchha na tha

main ne sun li thi tere qadmon ki aahaT dur se

tu na aaega kabhi dil mein mere dhaDka na tha

main ne dekha tha sar-e-aina ek paikar ka aks

hu-ba-hu ham-shakal tha mera magar mujh sa na tha

kyun jhulas Dala hai us ne mere KHadd-o-KHal ko

waqt ek dariya tha lekin aag ka dariya na tha

band pani ke bhanwar mein kho gai kashti meri

aankh jal-thal thi magar aansu koi Tapka na tha

main na daman-e-charagh-e-be-nawa ban kar jala

thi talab jhonke ki mujh ko aur tu jhonka na tha

ghum kar dekha to tha jis rah par tanha rawan

bhiD itni thi ki chalne ko wahan rasta na tha

main ki wusat ki tamanna mein bagula ban gaya

ret ke zarre the daman mein mere sahra na tha

kahish-e-soz-o-ziyan ne rakh kar Dala mujhe

main ne samjha tha ki ye shoala yahan jalta na tha

mere sahra ki tapish ko dekh kar hairan na tha

abr ghir kar barha aaya magar barsa na tha

apne bachchon ka tabassum dekh kar 'arif' bata

ghar ki virani ka tujh ko shikwa-e-beja na tha

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Mere Ghar Mein Utra Tha Kahin Duba Na Tha In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Chand Mere Ghar Mein Utra Tha Kahin Duba Na Tha is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Chand Mere Ghar Mein Utra Tha Kahin Duba Na Tha for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Chand Mere Ghar Mein Utra Tha Kahin Duba Na Tha in PDF.