Chhupae Dil Mein Hum Akasr Teri Talab Bhi Chale

chhupae dil mein hum akasr teri talab bhi chale

kabhi kabhi tere hamrah be-sabab bhi chale

numud-e-gul ke karishme sada jilau mein rahe

nasim ban ke chale hum chaman mein jab bhi chale

jalao KHun-e-shahidan se irtiqa ke charagh

ye rasm chalti rahi hai ye rasm ab bhi chale

suna hai jada-nawardan-e-subh ke hamrah

ba-faiz-e-waqt kai rah-rawan-e-shab bhi chale

hai shor-e-shabnam-e-asudgi ke dosh-ba-dosh

gul aaj le ke kahin shola-e-ghazab bhi chale

kisi ka hukm-e-zaban-bandi-e-junun bhi chala

kisi ke qisse suKHan ban ke zer-e-lab bhi chale

hamin ne saghar-e-gham muntaKHab kiya 'arif'

wagarna bazm mein kuchh saghar-e-tarab bhi chale

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhupae Dil Mein Hum Akasr Teri Talab Bhi Chale In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Chhupae Dil Mein Hum Akasr Teri Talab Bhi Chale is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Chhupae Dil Mein Hum Akasr Teri Talab Bhi Chale for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Chhupae Dil Mein Hum Akasr Teri Talab Bhi Chale in PDF.