DhunDhta Hun Sar-e-sahra-e-tamanna KHud Ko

DhunDhta hun sar-e-sahra-e-tamanna KHud ko

main ki samjha tha kabhi ruh-e-tamasha KHud ko

apne bachchon ki taraf ghaur se jab bhi dekha

kitne hi rangon mein bikhra hua paya KHud ko

aur kuchh log mere sae tale susta len

girti diwar hun deta hun sahaara KHud ko

nur tu mujh se farawan hua mahfil mahfil

gham nahin sham-e-sifat main ne jalaya KHud ko

reg-e-ummid ke shadab sarabon ke tufail

main ne dekha hai kabhi surat-e-sahra KHud ko

meri azmat ka nishan meri tabahi ki dalil

main ne haalat ke sanche mein na Dhaala KHud ko

meri taKHliq mere kaam na aai 'arif'

main ba-andaz-e-KHuda pata hun tanha KHud ko

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDhta Hun Sar-e-sahra-e-tamanna KHud Ko In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. DhunDhta Hun Sar-e-sahra-e-tamanna KHud Ko is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem DhunDhta Hun Sar-e-sahra-e-tamanna KHud Ko for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download DhunDhta Hun Sar-e-sahra-e-tamanna KHud Ko in PDF.