Jo Ubhre Waqt Ke Sanche Mein Dhal Ke

jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke

wo Dube ek aalam ko badal ke

gham-e-manzil tujhe shayad KHabar ho

yahan pahunche hain kitne kos chal ke

ab un ke pas aansu hain na aahen

jo gham ki aag se nikle hain jal ke

zamin ki ek hi jumbish bahut hai

zamin se aa malenge ye mahal ke

hamin ne raston ki KHak chhani

hamin aae hain tere pas chal ke

in aankhon ne ye an-honi bhi dekhi

nasim-e-subh guzri gul masal ke

zamana kyun tujhi par mar raha hai

bahane jab ki lakhon hain ajal ke

teri guftar par aalim fida hai

teri baaton mein tewar hain ghazal ke

sahar hone ko hai 'arif' KHudara

ghaDi bhar so raho pahlu badal ke

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ubhre Waqt Ke Sanche Mein Dhal Ke In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Jo Ubhre Waqt Ke Sanche Mein Dhal Ke is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Jo Ubhre Waqt Ke Sanche Mein Dhal Ke for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Jo Ubhre Waqt Ke Sanche Mein Dhal Ke in PDF.