Main Azal Ka Rah-rau Mujhko Abad Ki Justuju

main azal ka rah-rau mujh ko abad ki justuju

gard-e-rah mere jilau mein sath mere main na tu

zard tha chehra magar masrur tha pahlu mein dil

barg-e-gul jab le uDa chupke se mera rang-o-bu

mujh ko apne shahar ka har ek zarra hai aziz

ai hawa le ja uDa kar KHak meri ku-ba-ku

waqt ka dariya ki jis mein main kanwal ban kar khula

sochiye to bahr hai aur dekhiye to aabju

main musawwir hun magar taswir hai KHaliq meri

rang bharti hai mere KHake mein meri aarzu

zat ka aaina jab dekha to hairani hui

main na tha goya koi mujh sa tha mere ru-ba-ru

lazzat-e-KHud-agahi ka faiz hai 'arif' ki hum

pahron apne aap se rahte hain mahw-e-guftugu

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Azal Ka Rah-rau Mujhko Abad Ki Justuju In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Main Azal Ka Rah-rau Mujhko Abad Ki Justuju is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Main Azal Ka Rah-rau Mujhko Abad Ki Justuju for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Main Azal Ka Rah-rau Mujhko Abad Ki Justuju in PDF.