Main Jis Ko Rah Dikhaun Wahi HaTae Mujhe

main jis ko rah dikhaun wahi haTae mujhe

main naqsh-e-pa hun koi KHak se uThae mujhe

mahak uThegi faza mere tan ki KHushbu se

main ud hun kabhi aa kar koi jalae mujhe

charagh hun to faqat taq kyun muqaddar ho

koi zamane ke dariya mein bhi bahae mujhe

main musht-e-KHak hun sahra meri tamanna hai

hawa-e-tez kisi taur se uDae mujhe

agar mera hai to utre kabhi mere ghar mein

wo chand ban ke na yun dur se lubhae mujhe

wo aaine ki tarah mere samne aae

mujhe nahin to mera aks hi dikhae mujhe

umanDti yaadon ke aashob se mein waqif hun

KHuda kare kisi surat wo bhul jae mujhe

wafa nigah ki talib hai imtihan ki nahin

wo meri ruh mein jhanke na aazmae mujhe

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jis Ko Rah Dikhaun Wahi HaTae Mujhe In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Main Jis Ko Rah Dikhaun Wahi HaTae Mujhe is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Main Jis Ko Rah Dikhaun Wahi HaTae Mujhe for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Main Jis Ko Rah Dikhaun Wahi HaTae Mujhe in PDF.