Meri Soch Laraz UTThi Hai Dekh Ke Pyar Ka Ye Aalam

meri soch laraz uTThi hai dekh ke pyar ka ye aalam

teri aankhon se Tapka hai aansu ban kar mera gham

dil ko naz hai suljhaw par lekin main ne dekha hai

suljhane se aur uljha hai teri zulf ka ek ek KHam

din ke bolte hangame mein akasr soya rahta hai

karwaT le kar jag uThta hai raat ki chup mein tera gham

hijr ke sanwlae lamhon mein aas bhi tanha chhoD gai

kis se puchhun kaun batae raat hui hai kitni kam

teri dhun mein tujh se bhi shayad aage ja nikla hun main

tere pahlu mein baiTha hun phir bhi aankhen hain pur-nam

tera gham hum diwanon ko kis aalam mein chhoD gaya

ek zamana hum se KHafa hai ek jahan se hum barham

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Soch Laraz UTThi Hai Dekh Ke Pyar Ka Ye Aalam In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Meri Soch Laraz UTThi Hai Dekh Ke Pyar Ka Ye Aalam is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Meri Soch Laraz UTThi Hai Dekh Ke Pyar Ka Ye Aalam for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Meri Soch Laraz UTThi Hai Dekh Ke Pyar Ka Ye Aalam in PDF.