Ruh Ke Jalte KHarabe Ka Mudawa Bhi Nahin

ruh ke jalte KHarabe ka mudawa bhi nahin

dard wo baadal hai jo khul kar barasta bhi nahin

shahr ke zindan ne pahna din wo zanjiren mujhe

meri wahshat ko mayassar dil ka sahra bhi nahin

jis mein bah jae safine ki tarah mera wajud

meri aankhon se rawan gham ka wo dariya bhi nahin

karb ka suraj siwa neze pe hai Thahra hua

dil mera hai barf-zar aisa pighalta bhi nahin

mujh ko yakjai ki hasrat se bhala kya wasta

main to ji bhar kar sar-e-afaq bikhra bhi nahin

muddaton dar par mere wo dastaken deta raha

main magar wo nind ka mata ki chaunka bhi nahin

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Ke Jalte KHarabe Ka Mudawa Bhi Nahin In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Ruh Ke Jalte KHarabe Ka Mudawa Bhi Nahin is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Ruh Ke Jalte KHarabe Ka Mudawa Bhi Nahin for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Ruh Ke Jalte KHarabe Ka Mudawa Bhi Nahin in PDF.