Baghban Ki Be-ruKHi Se Nile-pile Ho Gae

baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae

KHar ki manind ab gul bhi nukile ho gae

bahte dariya se sabhi sairab hain lekin mujhe

sirf ek qatra mila bas honT gile ho gae

mai-kashon ne bas qadam rakkha tha sehn-e-bagh mein

phul-patte bel-buTe sab nashile ho gae

ek hi aadam se hain lekin siyasat ke nisar

kis qadar firqe bane kitne qabile ho gae

mere bachpan ka zamana phul ka ambar tha

jaise hi bachpan gaya ambar Tile ho gae

ek nazar tanqid ki paDne ki 'arif' der thi

sher jitne the ghazal mein sab rasile ho gae

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baghban Ki Be-ruKHi Se Nile-pile Ho Gae In English By Famous Poet Arif Ansari. Baghban Ki Be-ruKHi Se Nile-pile Ho Gae is written by Arif Ansari. Read famous Poem Baghban Ki Be-ruKHi Se Nile-pile Ho Gae for youth and Student by Arif Ansari. Free Download Baghban Ki Be-ruKHi Se Nile-pile Ho Gae in PDF.