Dastan Bhi MuKHtalif Lahja Bhi Yaron Se Juda

dastan bhi muKHtalif lahja bhi yaron se juda

panchwan darwesh to hai pahle chaaron se juda

zahr na-puKHta mizajon mein bhara karte hain ye

aap rahiyega zara in hoshyaron se juda

shor barpa ho gaya har gosha-e-gulzar mein

jab ubhar aaya naya manzar bahaaron se juda

chaT jati hirs ki dimak faqiron ke bhi tan

siraten un ki thin lekin shahryaron se juda

bas gham-e-jaanan nahin lekin gham-e-duniya to hai

aap kaise ho gae phir dil-figaron se juda

'nasir' o 'bani' sa tujh ko bhi saraha jaega

jab tera rang-e-suKHan hoga hazaron se juda

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastan Bhi MuKHtalif Lahja Bhi Yaron Se Juda In English By Famous Poet Arif Ansari. Dastan Bhi MuKHtalif Lahja Bhi Yaron Se Juda is written by Arif Ansari. Read famous Poem Dastan Bhi MuKHtalif Lahja Bhi Yaron Se Juda for youth and Student by Arif Ansari. Free Download Dastan Bhi MuKHtalif Lahja Bhi Yaron Se Juda in PDF.