Kuchh Aise ZaKHm-e-zamana Ka Indimal Kiya

kuchh aise zaKHm-e-zamana ka indimal kiya

kabhi namaz paDhi aur kabhi dhamal kiya

lagai zarb-e-shadid apne dil pe masti mein

KHuda se TuTa hua rabta bahaal kiya

usi ki baat likhi chahe kam likhi hum ne

usi ka zikr kiya chahe KHal-KHal kiya

lo hum ne Dhaal liya KHud ko us ke paikar mein

lo hum ne hijr ke arse ko bhi visal kiya

tumhaare hijr mein marna tha kaun sa mushkil

tumhaare hijr mein zinda hain ye kamal kiya

(1123) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aise ZaKHm-e-zamana Ka Indimal Kiya In English By Famous Poet Arif Imam. Kuchh Aise ZaKHm-e-zamana Ka Indimal Kiya is written by Arif Imam. Read famous Poem Kuchh Aise ZaKHm-e-zamana Ka Indimal Kiya for youth and Student by Arif Imam. Free Download Kuchh Aise ZaKHm-e-zamana Ka Indimal Kiya in PDF.