Jab Bhi Dushman Ban Ke Isne War Kiya

jab bhi dushman ban ke is ne war kiya

main ne apne lahje ko talwar kiya

main ne apne phul se bachchon ki KHatir

kaghaz ke phulon ka karobar kiya

meri mehnat ki qimat kya dega tu

main ne dasht-o-sahra ko gulzar kiya

main 'farhad' ya majnun kaise ban jata

main shair tha main ne sab se pyar kiya

us ki aankhen KHwab se banne lagti hain

jab bhi main ne chahat ka izhaar kiya

apne pichhe aane walon ki KHatir

main ne har ek raste ko hamwar kiya

us ke ghar ke sare log muKHalif the

phir bhi 'arif' us ne mujh se pyar kiya

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Dushman Ban Ke Isne War Kiya In English By Famous Poet Arif Shafiq. Jab Bhi Dushman Ban Ke Isne War Kiya is written by Arif Shafiq. Read famous Poem Jab Bhi Dushman Ban Ke Isne War Kiya for youth and Student by Arif Shafiq. Free Download Jab Bhi Dushman Ban Ke Isne War Kiya in PDF.