Hamein Nazdik Kab Dil Ki Mohabbat Khinch Lati Hai

hamein nazdik kab dil ki mohabbat khinch lati hai

tujhe teri mujhe meri zarurat khinch lati hai

chhupa hai jo KHazana tah mein in banjar zaminon ki

use bahar zamin se meri mehnat khinch lati hai

main mazi ko bhula kar apne mustaqbil mein zinda hun

nigahon se hai jo ojhal bashaarat khinch lati hai

mera dushman meri aankhon se ojhal ho nahin sakta

mere nazdik us ko dil ki nafrat khinch lati hai

samundar par jaane wale ek dan lauT aaenge

mera iman hai miTTi ki mohabbat khinch lati hai

jo apna ghar kisi ke ishq mein barbaad karte hain

unhen sahra mein un ke dil ki wahshat khinch lati hai

kabhi hota hai jo viran mere shahr ka maqtal

kisi mansur ko 'arif' sadaqat khinch lati hai

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Nazdik Kab Dil Ki Mohabbat Khinch Lati Hai In English By Famous Poet Arif Shafiq. Hamein Nazdik Kab Dil Ki Mohabbat Khinch Lati Hai is written by Arif Shafiq. Read famous Poem Hamein Nazdik Kab Dil Ki Mohabbat Khinch Lati Hai for youth and Student by Arif Shafiq. Free Download Hamein Nazdik Kab Dil Ki Mohabbat Khinch Lati Hai in PDF.