Tu Zamin Par Hai Kahkashan Jaisa

tu zamin par hai kahkashan jaisa

main kisi qabr ke nishan jaisa

main ne har haal mein kiya hai shukr

us ne rakkha mujhe jahan jaisa

ho gai wo bahan bhi ab ruKHsat

pyar jis ne diya tha man jaisa

fasla kyun dilon mein aaya hai

ghar ke aangan ke darmiyan jaisa

mere dil ko mila na lafz koi

mere ashkon ke tarjuman jaisa

mere ek sher mein samaya hai

karb sadiyon ki dastan jaisa

shahr mein ek mujh ko dikhla do

tum mere ganw ke jawan jaisa

jhil si in udas aankhon mein

aks tha nile aasman jaisa

mujh ko waisa KHuda mila bilkul

main ne 'arif' kiya guman jaisa

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Zamin Par Hai Kahkashan Jaisa In English By Famous Poet Arif Shafiq. Tu Zamin Par Hai Kahkashan Jaisa is written by Arif Shafiq. Read famous Poem Tu Zamin Par Hai Kahkashan Jaisa for youth and Student by Arif Shafiq. Free Download Tu Zamin Par Hai Kahkashan Jaisa in PDF.