Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar

ghani aabaadiyon ki be-amani ka tamasha kar

nikal kar ghar se marg-e-na-gahani ka tamasha kar

jo zinda aag mein Dale gae lashen na gin un ki

jo bach nikle hain un ki saKHt-jaani ka tamasha kar

jo taKHt-o-taj ke malik hain kya wo mo'tabar bhi hain

shar-angezi mein Dubi hukmarani ka tamasha kar

bacha kya rah gaya kalak bhare jhulse makanon mein

ujaDi bastiyon ki be-nishani ka tamasha kar

nai tariKH ke safhon pe likkha ja raha hai kya

huruf-e-qahr ki aatish-fishani ka tamasha kar

jo dil mein hai use na-gufta rahne de to behtar hai

badalti surat-e-harf-o-maani ka tamasha kar

na koi KHwab baqi hai na aansu KHushk aankhon mein

tahi-daston ki gum-sum nauha-KHwani ka tamasha kar

har ek shab shukr kar teri abhi gardan salamat hai

har ek din sail-e-KHun ki be-karani ka tamasha kar

qayamat sar tak aa pahunchi hai rakh le hath aankhon par

mata-e-zindagi ki raegani ka tamasha kar

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar In English By Famous Poet Arman Najmi. Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar is written by Arman Najmi. Read famous Poem Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar in PDF.