Jo Gum-gashta Hai Uski Zat Kya Hai

jo gum-gashta hai us ki zat kya hai

gharib-e-shahr ki auqat kya hai

saron par saya-e-afat kya hai

jo kaTti hi nahin wo raat kya hai

na hone aur hone ki haqiqat

sawal-e-nafi-o-isbaat kya hai

jami hai gard ki tah bastiyon par

hawa ke hath mein saughat kya hai

hiqarat mein bujhe kuchh tir-o-nashtar

mere kashkol mein KHairaat kya hai

bujha paen na un ko oDh paen

guzishta mausamon ki baat kya hai

kabhi dekha na us ko bar-awar

hamari fasl-e-imkanat kya hai

waraq par kyun utarte hain sharare

lahu mein shoala-e-jazbaat kya hai

ubharte Dubte rahte hain sae

tamasha ek sa din raat kya hai

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Gum-gashta Hai Uski Zat Kya Hai In English By Famous Poet Arman Najmi. Jo Gum-gashta Hai Uski Zat Kya Hai is written by Arman Najmi. Read famous Poem Jo Gum-gashta Hai Uski Zat Kya Hai for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Jo Gum-gashta Hai Uski Zat Kya Hai in PDF.