Kabhi To Aa Ke Milo Mera Haal To Puchho

kabhi to aa ke milo mera haal to puchho

ki mujh se chhuT ke bhi aaj kaise zinda ho

jawaniyon ki ye rut kis tarah guzarti hai

bas ek bar tum apni nazar se dekh to lo

wo aarzuon ka mausam to kab ka bit chuka

main kab se jhel raha hun dukhon ke sahra ko

masarraton ki ruten to tumhaare sath gain

main kaise dur karun ruh ki udasi ko

guzar na jao sar-e-rah ajnabi ki tarah

tumhaara KHwab hun main tum to mujh ko pahchano

jo ja chuke wo musafir na aaenge arman

bas ab to dafn karo nim-jaan umidon ko

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi To Aa Ke Milo Mera Haal To Puchho In English By Famous Poet Arman Najmi. Kabhi To Aa Ke Milo Mera Haal To Puchho is written by Arman Najmi. Read famous Poem Kabhi To Aa Ke Milo Mera Haal To Puchho for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Kabhi To Aa Ke Milo Mera Haal To Puchho in PDF.