Nigah-e-tishna Se Hairat Ka Bab Dekhte Hain

nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain

bisat-e-ab pe raqs-e-sarab dekhte hain

ukhaDte KHemon pe kya qahr-e-sham TuTa hai

lahu mein Duba hua aaftab dekhte hain

nahin hai qatre ki auqat bhi jinhen hasil

wo kam-nazar bhi samundar ke KHwab dekhte hain

unhen to waqt ki gardish asir kar bhi chuki

wo ab guzishta zamane ka KHwab dekhte hain

hamein to mauj-e-rawan bhi nazar nahin aati

wo log aur hain jo zer-e-ab dekhte hain

dayar-e-shauq ki miTTi mein kya guhar hi nahin

numu ki rut ko bhi be-ab-o-tab dekhte hain

saza milegi hamein to ziya-ba-doshi ki

charagh-e-jaan pe hawa ka itab dekhte hain

mila nahin unhen sairabi-e-wujud ka lams

ye dasht sadiyon se rah-e-sahab dekhte hain

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-tishna Se Hairat Ka Bab Dekhte Hain In English By Famous Poet Arman Najmi. Nigah-e-tishna Se Hairat Ka Bab Dekhte Hain is written by Arman Najmi. Read famous Poem Nigah-e-tishna Se Hairat Ka Bab Dekhte Hain for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Nigah-e-tishna Se Hairat Ka Bab Dekhte Hain in PDF.