Aag Hi Aag Hai Gulshan Ye Koi Kya Jaane

aag hi aag hai gulshan ye koi kya jaane

kis ne phunka hai nasheman ye koi kya jaane

na kahin sozan-o-rishta na kahin baKHiya-gari

sar-ba-sar chaak hai daman ye koi kya jaane

dekhte phirte hain log aaine sayyaron ke

dil ka gosha bhi hai darpan ye koi kya jaane

husn har haal mein hai husn paraganda naqab

koi parda hai na chilman ye koi kya jaane

'arsh' uncha tha sar-e-fan kabhi ya faKHr o ghurur

ab tah-e-tegh hai gardan ye koi kya jaane

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Hi Aag Hai Gulshan Ye Koi Kya Jaane In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Aag Hi Aag Hai Gulshan Ye Koi Kya Jaane is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Aag Hi Aag Hai Gulshan Ye Koi Kya Jaane for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Aag Hi Aag Hai Gulshan Ye Koi Kya Jaane in PDF.