Agar Taqdir Teri Bais-e-azar Ho Jae

agar taqdir teri bais-e-azar ho jae

tujhe lazim hai us se bar-sar-e-paikar ho jae

meri kashti hai main hun aur girdab-e-mohabbat hai

jo tu ho na-KHuda mera to beDa par ho jae

kamal-e-zabt-e-gham se ye gawara hi nahin mujh ko

ki harf-e-arzu sharminda-e-izhaar ho jae

tere KHwab-e-giran par ai dil-e-nadan tajjub hai

ki tu sota rahe sara jahan bedar ho jae

unhen kyun kosta hai jo tujhe kahte hain kam-himmat

bura kya hai haqiqat ka agar izhaar ho jae

tumhein ai arsh kyun hai tir-e-gham se itni be-zari

yahi behtar hai ye nawak jigar ke par ho jae

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Taqdir Teri Bais-e-azar Ho Jae In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Agar Taqdir Teri Bais-e-azar Ho Jae is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Agar Taqdir Teri Bais-e-azar Ho Jae for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Agar Taqdir Teri Bais-e-azar Ho Jae in PDF.