Ehsas-e-husn Ban Ke Nazar Mein Sama Gae

ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae

go lakh dur the wo magar pas aa gae

ek raushni si dil mein thi wo bhi nahin rahi

wo kya gae charagh-e-tamanna bujha gae

dair o haram hai aur to hasil na kuchh hua

sajde ghurur-e-ishq ki qimat ghaTa gae

tanha-rawi mein yun to musibat thi har qadam

hum ahl-e-karwan se to pichha chhuDa gae

kitna fareb-kar hai ehsas-e-bandagi

hum manzil-e-KHudi se bahut dur aa gae

ulfat mein fikr-e-zist nadamat ki baat thi

achchhe rahe jo jaan ki bazi laga gae

jo haal un ka tha wo hamin jaante hain 'arsh'

yun wo hamari baat hansi mein uDa gae

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ehsas-e-husn Ban Ke Nazar Mein Sama Gae In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Ehsas-e-husn Ban Ke Nazar Mein Sama Gae is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Ehsas-e-husn Ban Ke Nazar Mein Sama Gae for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Ehsas-e-husn Ban Ke Nazar Mein Sama Gae in PDF.