Husn Par Dastaras Ki Baat Na Kar

husn par dastaras ki baat na kar

ye hawas hai hawas ki baat na kar

puchh agle baras mein kya hoga

mujh se pichhle baras ki baat na kar

ye bata haal kya hai lakhon ka

mujh se do chaar das ki baat na kar

ye bata qafile pe kya guzri

mahaz bang-e-jaras ki baat na kar

ishq-e-jaan aafrin ka haal suna

husn-e-isa nafas ki baat na kar

ye bata 'arsh' soz hai kitna

saz par dastaras ki baat na kar

(1149) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Husn Par Dastaras Ki Baat Na Kar In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Husn Par Dastaras Ki Baat Na Kar is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Husn Par Dastaras Ki Baat Na Kar for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Husn Par Dastaras Ki Baat Na Kar in PDF.