Tu Agar Dil Mein Ek Bar Aae
tu agar dil mein ek bar aae
umr bhar ke liye qarar aae
aashiyana hi gulsitan mein nahin
ab KHizan aae ya bahaar aae
wo na aaen to ai dam-e-aKHir
lab pe nam un ka bar bar aae
maut ne aasra diya bhi to kab
jab musibat ke din guzar aae
yas kahti hai kuchh tamanna kuchh
kis ki baaton pe e'tibar aae
ye to kuchh talKH thi mere saqi
ab jo aae wo KHush-gawar aae
us ko tera payambar samjhun
maut agar waqt-e-intizar aae
'arsh' wo be-qarariyan na rahin
dil ko ab kis tarah qarar aae
(891) Peoples Rate This