Wo Le Ke Hausla-e-azm-e-be-panah Chale

wo le ke hausla-e-azm-e-be-panah chale

jo log hanste hue su-e-qatl-gah chale

gharib nikle rajaz-KHwan to ahl-e-dil ne kaha

karo salam ki himmat ke baadshah chale

fareb khae hue zulm o jaur insan ke

KHuda ki KHas adalat ke dad-KHwah chale

na bim-e-marg na KHauf-e-ajal na ranj koi

KHushi se karte hue raqs kaj-kulah chale

salib o dar ki sab rahmaton ke pesh-e-nazar

wo tabarruk karte hue hirs-e-izz-o-jah chale

zamana chiKH uTha sab ki aankh bhar aai

barae qatl jo maqtal ko be-gunah chale

zamin walo uTho uTh ke in ko sajda karo

wo le ke parcham-e-nau 'arsh' pa-e-gah chale

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Le Ke Hausla-e-azm-e-be-panah Chale In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Wo Le Ke Hausla-e-azm-e-be-panah Chale is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Wo Le Ke Hausla-e-azm-e-be-panah Chale for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Wo Le Ke Hausla-e-azm-e-be-panah Chale in PDF.