Ye Daur-e-KHirad Hai Daur-e-junun Is Daur Mein Jina Mushkil Hai

ye daur-e-KHirad hai daur-e-junun is daur mein jina mushkil hai

angur ki mai ke dhoke mein zahrab ka pina mushkil hai

jab naKHun-e-wahshat chalte the roke se kisi ke ruk na sake

ab chaak-e-dil-e-insaniyyat site hain to sina mushkil hai

ek sabr ke ghunT se miT jati tab tishna-labon ki tishna-labi

kam-zarfi-e-duniya ke sadqe ye ghunT bhi pina mushkil hai

wo shoala nahin jo bujh jae aandhi ke ek hi jhonke se

bujhne ka saliqa aasan hai jalne ka qarina mushkil hai

karne ko rafu kar hi lenge duniya wale sab zaKHm apne

jo zaKHm dil-e-insan pe laga us zaKHm ka sina mushkil hai

wo mard nahin jo Dar jae mahaul ke KHuni manzar se

is haal mein jina lazim hai jis haal mein jina mushkil hai

milne ko milega bil-aKHir ai 'arsh' sukun-e-sahil bhi

tufan-e-hawadis se lekin bach jae safina mushkil hai

(2607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Daur-e-KHirad Hai Daur-e-junun Is Daur Mein Jina Mushkil Hai In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Ye Daur-e-KHirad Hai Daur-e-junun Is Daur Mein Jina Mushkil Hai is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Ye Daur-e-KHirad Hai Daur-e-junun Is Daur Mein Jina Mushkil Hai for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Ye Daur-e-KHirad Hai Daur-e-junun Is Daur Mein Jina Mushkil Hai in PDF.